“Tu Hai Kahan” by AUR (Uraan) is a captivating song which is very viral these days on all the social media platform that weaves a tale of love, longing, and the complexities of life’s journey. Uraan, a talented pop-rock band from Lahore, delivers this song with finesse and emotion, making it a standout in the music world.
Ki Jab Main Hadd Se Aage Badh Gaya Tha Aashiqui Mein,
Yani Zindagi Ko Le Raha Mazak Hi Mein,
Fir Mazak Hi Main Mil Gaya Sab Khak Hi Mein,
Choo Kar Aaya Manzile To Tanha Tha Main Vapasi Mein
aise Phool Tode Honge Tumne Jholi Bharke,
Me Wo Phool Jo Ki Reh Gaya Tha Shakh Hi Mein,
Jaise Khwab Hi Main Khwab Gahein Aankh Hi Mein,
Pal Se Pal Main Kya Hua Tum Reh Gaye Bas Yad Hi Mein,
Ek Sawal Machalta Hai Mere Dil Main Kabhi,
Tujhe Main Bhul Jaun Ya Tujhe Main Yad Karoon,
Tujhi Ko Soch Ke Likhta Hu Jo Bhi Likhta Hu,
Ab Likh Raha Hu To Fir Kyu Na Ek Sawal Karoon,
Main Is Sawal Se Gham To Badal Du Khushiyon Mein,
Par Inn Bejan Si Khushiyon Se Kya Kamal Karoon,
Par Ab Sawal Bhi Kamal, Tu Sambhal Le Filhal,
Ye Zawal Bicha Jal Kya Main Chal Chalun,
Chal Chal Tu Apni Main Tujhe Pehchan Lunga,
Mai Apni Mehfilon Main Sirf Tera Hi Nam Lunga,
Tujhe Pasand Hai Dheema Lehja Or Bas Khamoshiyan,
Main Tere Khatir Apni Khudki Sanse Tham Lunga,
Kya Tere Sare Aansun Mere Ho Sakte Hai,
Aisa Hai To Tere Khatir Hum Bhi Ro Sakte Hai,
Mere Khatir Mere Rone Par Ab Tum Bas Hass Dena,
Ek Bar Teri Muskurahat Ke Piche Hum Sab Kuch Kho Sakte Hai,
Kya Meri Mohbbaton Ka Koi Hisab Nahi Hai,
Kya Teri Aankhon Main Mere Liye Koi Khwab Nahi Hai,
Tujhe Kya Hi Karun Ghamzada Ab Jane De,
Ki Tere Pas Mere Pyar Ka Jawab Nai Hai,
Kitni Muddate Hui Hai, Tumne Khat Kyun Nahi Bheja,
Ga Leta Hu Tere Liye, Mausiqi Nahi Hai Pesha,
Aane Ki Khabar Hi Nahi Tere Ab,
Ab Kya Masuamon Se Puchu Tere Aane Ka Andesha,
Ankhon Main Aansoon Nahi Hai,
Kahan Hai Tu Kaha Tu Nahi Hai,
Dil Ko Ye Ab Jan’na Hi Nahi,
Bas Tum Chale Aao,
Tu Hai Kahan,
Khwabo Ke Iss Sheher Mein Mera Dil Tujhe Dhund Ta,
Dhund Ta, Arsa Hua, Tujhko Dekha Nahi,
Tu Na Jane Kaha Chup Gaya, Chup Gaya,
Aao Firse Hum Chale,
Tham 10 Ye Hath, Kardo Kam Yeh Fasle,
Na Pata Ho Manzilon Ka, Na Ho Raste,
Tu Ho, Main Hu, Bethe Dono Firr, Hum Taron Ke Tale,
Na Subah Ho Fir, Na Hi Din Dhale,
Kuch Na Keh Sake, Kuch Na Sun Sake,
Batein Sari Wor Dil Main Hi Rahein,
Tumko Kya Pata Hai Kya Ho Tum Mere Liye,
Kehkasha Ho Tum,
Kahaniyon Ki Pariyon Ki Tarah Ho Tum,
Mujhme Aasake Na Koi Iss Tarah Ho Tum,
Ho Yaqeen Tum Mera, Ya Fir Guman Ho Tum,
Ashiyan Ho Tum,
Main Bhatka Sa Musafir Aur Makan Ho Tum,
Meri Manzilon Ka Ek Hi Rasta Ho Tum,
Dhoond Ta Hai Dil Tujhe Bata Kahan Ho Tum,
Ho Jahan Kahin Bhi,
Aao Pas Take Aansun Mere Tham Sake,
Yad Aa Rahe Ho Tum Mujhe Ab Har Lamhe,
Aisi Zindagi Ka Kya Jo Tum Zindagi Main Hoke,
Meri Zindagi Na Ban Sake,
Sochta Rahu Ya Bhul Jaun Ab Tumhe,
Tum Mil Hi Na Sakoge, To Fir Kaise Chahun Ab Tumhe,
Tere Sare Khwab Pal Main Jod Denge,
Jisme Tu Hi Na Basega, Fir Wo Dil Hi Tod Denge,
Chod Denge Wo Sheher, Ke Jisme Tum Na Hoge,
Toot Jaenge Makan, Wo Sare Hasraton Ke,
Guzre Pal Jo Sath Tere, Wo Pal Hai Bas Sukoon Ke,
Mil Lo Ab Tum Iss Tarah Se, Ke Fir Nahi Miloge,
Tu Hi Tha Sath Main Mere, Kaise Main Jiunga Akele,
Tare Gin Gin Ke Hogayi Hai Subha,
Tu Hai Kaha,
Khwabo Ke Iss Sheher Mein Mera Dil Tujhe Dhund Ta,
Dhund Ta,
Arsa Hua, Tujhko Dekha Nahi,
Tu Na Jane Kaha Chup Gaya, Chup Gaya